Aj lagaye thi mien nay mazi ki adalat
Mujrim k ktheray mien khood ko mien rakha tha
Mujhay janay kion tajasus tha
Hareef kon hon gay meray muqabil par
kash aisa na hota
Aik pal ko mujhay laga qanoon waqyi andah hay
Meray hareefo mien saray meray apnay thay
yah meri samjh thi k woh meray apnay hay
Kash aisa na hota
Judge ki kursi par beeta waqt baitha tha
Kisi nay phir zoor say pukara tha
Karwayi shuru ki jaye
Janay mien u chonki thi
Mujh ko lagha yah shayad mera veham tha
Wahan jo khara tha Khushi k woh lamhay thay
Meri Virasat shayad jo kabhi hotay thay
Mujh ko lagha sab dhoka hay
Mujh par jo muqadma tha Khood ko alag smjhnay ka
Kisi k sath na chalnay ka
Kisi ki madad na karnay ka
Sab say kut k rehnay ka
Apna Zaum jatanay ka
Tum ko chota smjhnay ka
Agay phir kiya hua woh bhi tu sunty jaao
Meray hareefo mien tum sab say agay thay
Meray under banay dewta ko giranay
Koi nahi jirah mien tha
Ilzam ki bochar thi aur koi maseha na tha
phir wohi sakhs bola hay koi jo dho dalay is par laghay dagho ko
Mera sir ju jhuka tha
Us ko kisi nay uthaya tha, meray budh ko bachaya tha
Woh wohi kuch pal thay jo gin gin k guzaray thay
Woh wohi kuch asnoon thay jo janay teray lien kyn bhaye thay
Woh kuch jazbat thay tu gawahi detay thay
Mujh ko bachanay ki
Bari karwanay ki
Go k faisla meray haq mien hua tha
Janay kion mujh ko lagha adalat tu sirf bhana thi
Mujh ko yeah btanay ka
Qanoon k ilwah bhi bohaat kuch andah hay
Jo bhetay dariyan ko ponjta hay
Phir yeah ghalti dobhara na kar baithna hay
Akelay ab jo niklo kisi ko hamsafar na samjh baithna
kash yah adalat rooz mien lagati tu
Ab k mujh ko kirchiyan na chunni parti
koi bhi adalat Jirah na karti
you huta yah woh hota!